Waah kya jood-o-karam hai Shah-e-Batha tera Nahin sunta hi nahin mangne wala tera
Dhare chalte hain ata ke woh hai qatra tera Taare khilte hain sakha ke woh hai zarra tera
Faiz hai ya Shah-e-Tasneem nirala tera Aap pyaason ke tajassus mein hai darya tera
Aghniya palte hain dar se woh hai baara tera Asfiya chalte hain sar se woh rasta tera
Main to maalik hi kahoon ga ke ho maalik ke Habeeb Ya'ni mehboob-o-muhib mein nahin mera tera
Tere qadmon mein jo hain ghair ka munh kya dekhein Kaun nazron pe charhay dekh ke talwa tera
Chor haakim se chupa karte hain ya us ke khilaf Tere daaman mein chhupe chor anokha tera
Tere tukron se palay ghair ki thokar pe na daal Jhirkiyan khayen kahan chhor ke sadqa tera





