Sunte hain ke mahshar mein sirf un ki rasai hai Gar un ki rasai hai lo jab to ban aayi hai
Machla hai ke rahmat ne umeed bandhai hai Kya baat teri mujrim ki baat banayi hai
Sab ne saf-e-mahshar mein lalkaar diya hum ko Ae bekasoon ke Aqa ab teri duhai hai
Yun to sab unhi ka hai par dil ki agar poochho Yeh toote hue dil hi khaas un ki kamayi hai
Zair gaye bhi kab ke din dhalne pe hai pyaare Uth mere akele chal kya der lagayi hai
Bazaar-e-amal mein to sauda na bana apna Sarkar karam tujh mein aibi ki samayi hai
Mujrim ko na sharmao ahbaab kafan dhak do Munh dekh ke kya hoga parde mein bhali hai
Ab aap sambhalein to sab kaam sambhal jayen Hum ne to kamayi sab khelon mein ganwayi hai
Ae Ashiq tere sadqe jalne se chhute saste Jo aag bujha degi woh aag lagayi hai
Ae dil yeh sulagna kya jalna hai to jal bhi uth Dum ghutne laga zaalim kya dhuni ramayi hai
Matla mein yeh shak kya tha wallah Raza Allah Sirf un ki rasai hai sirf un ki rasai hai





