Zameen-o-zamaan tumhare liye Makeen-o-makaan tumhare liye Chuneen-o-chunaan tumhare liye Bane do jahaan tumhare liye
Dahan mein zabaan tumhare liye Badan mein hai jaan tumhare liye Hum aaye yahan tumhare liye Uthen bhi wahan tumhare liye
Asalat-e-kul, imamat-e-kul, Siyadat-e-kul, imarat-e-kul Hukoomat-e-kul, wilayat-e-kul, Khuda ke yahan tumhare liye
Tumhari chamak tumhari damak Tumhari jhalak tumhari mehak Zameen-o-falak samaak-o-samak Mein sikka rawaan tumhare liye
Woh kanz-e-nihaan yeh noor-e-fishaan Woh kun se ayaan yeh bazm-e-fakaan Yeh har tan-o-jaan yeh baagh-o-jinaan Yeh saara samaan tumhare liye
Yeh shams-o-qamar yeh shaam-o-sahar Yeh barg-o-shajar yeh baagh-o-samar Yeh tabgh-o-sipar yeh taaj-o-kamar Yeh hukm-e-rawaan tumhare liye
Na rooh-e-ameen na arsh-e-bareen Na loh-e-mubeen koi bhi kaheen Khabar hi nahin jo ramzein khalein Azal ki nihaan tumhare liye
Jinaan mein chaman, chaman mein saman, Saman mein phaban, phaban mein dulhan Saza-e-mihan pe aise manan Yeh amn-o-amaan tumhare liye
Ishare se chaand cheer diya, Chupe hue khwar ko pher diya Gaye hue din ko asr kiya Yeh taab-o-tawaan tumhare liye
Saba woh chale ki baagh phale, Woh phool khile ki din ho bhale Liwa ke tale sana mein khile Razaؔ ki zabaan tumhare liye





