Lam yati naziruka fi nazarin misl-e-tu na shud paida jana Jag raj ko taj tore sar so hai tujh ko Shah-e-dawsara jana
Al-bahru ala wal-mawju tagha man bekas-o-toofan hosh-ruba Manjh-dhar mein hoon bigdi hai hawa mori naiyya paar laga jana
Ya shams nazarti ila laili cho ba-Taibah rasi arze bekuni Tori jot ki jhal jhal jag mein rachi meri shab ne na din hona jana
Laka badrun fil wajhil ajmal khat-e-hala-e-mah zulf-e-abr-e-ajal Tore chandan chandar paro kundal rahmat ki bharan barsa jana
Ana fi atashin wa sakhak-atam ae gesu-e-pak ae abr-e-karam Barsan hare rim jhim rim jhim do boond idhar bhi gira jana
Ya qafilati zidi ajalal rahme bar hasrat-e-tishna labak Mora jiyara larje darak darak Taibah se abhi na suna jana
Wahan li suwa’atin dhahabat aan ahd-e-huzur-e-bargahat Jab yaad aawat mohe kar na parat darda woh Madinah ka jana
Al-qalbu shajin wal-hammu shujoon dil-e-zaar chunan jaan zer-e-chunun Pat apni bapat mein kaase kahoon mora kaun hai tere siwa jana
Ar-roohu fidaka fazid harqa yak shola-e-digar barzan ishqa Mora tan man dhan sab phoonk diya yeh jaan bhi pyare jala jana
Bas khama-e-kham nawa-e-Raza na yeh tarz meri na yeh rang mira Irshad-e-ahibba natiq tha nachar is raah pada jana





