Subh-e-Taibah mein hui bat-ta hai baara noor ka Sadqa lene noor ka aaya hai taara noor ka
Baagh-e-Taibah mein suhana phool phoola noor ka Mast-e-boo hain bulbulen parhti hain kalma noor ka
Main gada tu baadshah bhar de pyala noor ka Noor din duna tera de daal sadqa noor ka
Teri hi jaanib hai paanchon waqt sajda noor ka Rukh hai Qibla noor ka abroo hai Kaaba noor ka
Pusht par dhalka sar-e-anwar se shamla noor ka Dekhein Musa Toor se utra saheefa noor ka
Taj wale dekh kar tera imama noor ka Sar jhukate hain Ilahi bol baala noor ka
Shama-e-dil mishkat-e-tan seena zujaja noor ka Teri soorat ke liye aaya hai Surah Noor ka
Tere aage khaak par jhukta hai maatha noor ka Noor ne paaya tere sajde se seema noor ka
Tu hai saaya noor ka har uzv tukra noor ka Saaya ka saaya na hota hai na saaya noor ka
Teri nasl-e-paak mein hai bacha bacha noor ka Tu hai ain-e-noor tera sab gharana noor ka
Noor ki sarkar se paaya doshala noor ka Ho mubarak tum ko Zul-Noorain jora noor ka
Chaand jhuk jaata jidhar ungli uthate mah-e-deen Kya hi chalta tha isharon par khilona noor ka
Ae Raza yeh Ahmad-e-Noori ka faiz-e-noor ka Ho gayi meri ghazal barh kar qaseeda noor ka





