Mustafa khair-ul-wara ho Sarwar-e-har do sara ho
Apne achhon ka tasadduq Hum badon ko bhi nibaho
Kis ke phir ho kar rahein hum Gar tumhein hum ko na chaho
Bad hasein tum un ki khatir Raat bhar ro’o karaho
Bad karein har dam burai Tum kaho un ka bhala ho
Hum wahi nashusta-ru hain Tum wahi bahr-e-ata ho
Hum wahi shayan-e-radd hain Tum wahi shan-e-sakha ho
Hum wahi be-sharm-o-bad hain Tum wahi kan-e-haya ho
Hum wahi nang-e-jafa hain Tum wahi jaan-e-wafa ho
Hum wahi qabil-e-saza ke Tum wahi rahm-e-Khuda ho
Charkh badle dahr badle Tum badalne se wara ho
Ab hamein hon sahv hasha Aisi bhoolon se juda ho
Umr bhar to yaad rakha Waqt par kya bhoolna ho
Waqt-e-paidaish na bhoole Kaifa yansa kyon qaza ho
Yeh bhi Mawla arz kar doon Bhool agar jao to kya ho
Woh ho jo tum par giran hai Woh ho jo hargiz na chaho
Woh ho jis ka naam lete Dushmanon ka dil bura ho
Woh ho jis ke radd ki khatir Raat din waqf-e-dua ho
Mar mitein barbad bande Khana-abad aag ka ho
Shad ho Iblis-e-mal'oon Gham kise us qahr ka ho
Tum ko ho wallah tum ko Jaan-o-dil tum par fida ho
Tum ko gham se Haq bachaye Gham adu ko jaan-gaza ho
Tum se gham ko kya talluq Bekason ke gham-zada ho
Haq duroodein tum pe bheje Tum mudam us ko saraho
Woh ata de tum ata lo Woh wahi chahe jo chaho
Bar to oo pashad tu bar ma Ta abad yeh silsila ho
Kyon Raza mushkil se dariye Jab Nabi mushkil-kusha ho





