We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Sar su-e-raudha jhuka phir tujh ko kya Dil tha sajid Najdiya phir tujh ko kya


Baithte uthte madad ke waste Ya RasoolAllah kaha phir tujh ko kya


Ya gharaz se chhut ke mahz zikr ko Naam-e-pak un ka japa phir tujh ko kya


Bekhudi mein sajdah-e-dar ya tawaf Jo kiya achha kiya phir tujh ko kya


Un ko tamleek-e-Maleek-ul-Mulk se Malik-e-alam kaha phir tujh ko kya


Un ke naam-e-pak par dil jaan-o-maal Najdiya sab taj diya phir tujh ko kya


Ya Ibadi keh ke hum ko Shah ne Apna bandah kar liya phir tujh ko kya


Dew ke bandon se kab hai yeh khitab Tu na un ka hai na tha phir tujh ko kya


La ya'oodoon aage hoga bhi nahin Tu alag hai da'iman phir tujh ko kya


Dasht-e-gird-o-pesh-e-Taibah ka adab Makkah sa tha ya siwa phir tujh ko kya



Your Lyrics, Even Offline - Install the App for Free!

Get it on Google Play


Najdi marta hai ke kyun ta'zeem ki Yeh hamara deen tha phir tujh ko kya


Dew tujh se khush hai phir hum kya karein Hum se raazi hai Khuda phir tujh ko kya


Dew ke bandon se hum ko kya gharaz Hum hain 'abd-e-Mustafa phir tujh ko kya


Teri dozakh se to kuchh chheena nahin Khuld mein pahuncha Raza phir tujh ko kya

Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah