Rahmat ka saaybaan karam ka sahaab woh ﷺ Maula-e-kul ﷺ, janaab-e-risaalat ma'ab woh ﷺ
Un ﷺ ko parhay baghair adhooray hain sab uloom Har daur-e-irtiqa ka muqaddas nisaab woh ﷺ
Shahr-e-gumaan mein uljhay huay har sawaal ka Aye asr-e-nau! Azal say hain hatmi jawaab woh ﷺ
Un ﷺ ki zabaan mein un ﷺ ka Khuda bolta raha Laareeb jeeti jaagti Umm-ul-Kitaab woh ﷺ
Dehleez-e-Mustafa ﷺ ki khairaat har shaoor Duniya mein husn-o-khair ka har inqilaab woh ﷺ
Arz-o-sama mein ek bhi un ﷺ ki nahin misaal Dekhain kisi bhi zaaviyay say intikhaab woh ﷺ
Husn-o-jamaal-e-lauh-o-qalam, jaan-e-harf-o-saut Ra'naai-e-khayaal ki hain aab-o-taab woh ﷺ
Shadaab sa'aton ka yeh mausam unhi ﷺ ka hai Shaakh-e-dua pe mehka hua hain gulaab woh ﷺ
Aankhain, faseel-e-shahr-e-tamanna karay qabool Jo markaz-e-nigaah hain meri janaab woh ﷺ
Daaman-e-aarzoo hi kushaada na tha mera Detay rahay Riyaazؔ mujhay bay-hisaab woh ﷺ





