Khuld-e-Taiba ke ae mausam-e-dilkusha, meri ujri hui kisht-e-jaan mein utar Mere honton ki dehleez par phool rakh, chaand ban kar mere aashiyan mein utar
Hum-kalami hawa-e-Madinah se ho, hum-nasheeni kabhi Toor-e-Seena se ho Taair-e-fikr sall-e-Ala keh ke ud, aaj bhi haita-e-dilbaran mein utar
Rat jagon ka tasalsul muqaddar bane, meri pehchan naat-e-Payambar ﷺ bane Hamsafar, saath chal, shaam-e-midhat mein dhal, tu bhi gard-e-rah-e-karwan mein utar
Apni palkon ko talway bana kar tu chal, deep hubb-e-Nabi ﷺ ke jala kar tu chal Ae shaoor-e-ghazal, hai maqam-e-adab, qarya-e-azmat-e-mursalaan mein utar
Aasmani saheefon ke auraq parh, mere Aaqa ﷺ ki aamad ke unwaan samajh Khushbu-e-harf-e-nau ke hujoom-e-karam, un ki tooseef ke aasman mein utar
Aaj ki shab bhi Taiba ki deewar-o-dar se lipatta rahe chashm-o-tar ka dhuaan Gumbad-e-sabz ke aks se sad-e-muhtaram, mere betab ashk-e-rawaan mein utar
Wasl ki sa'aton ki tamanna liye, jee raha hai koi hijr ke shehar mein Ae karam ki ghata, mere aangan mein aa, aansuon se likhi dastaan mein utar
Mere bachon ke khwabon ki ta'beer de, un ko aasooda lamhon ki tanveer de Rahmat-e-Mustafa ﷺ, Rahmat-e-Mustafa ﷺ, mere jalte hue saaybaan mein utar
Ummat-e-be-waseela ki mehroomiyon ka bayaan kab talak ae mere nauha gar Haath mein le ke azm-o-amal ke alam, tu kabhi shehar-e-nutq-o-bayaan mein utar
Apne bakht-e-rasa ki balaein bhi le, shehar-e-Taiba ki thandi hawayein bhi le Meri kilk-e-sana, wajd mein aaj aa, mehfil-e-naat ki kehkishan mein utar
Daman-e-dil mein kaliyan sajate hue, aarzoo ke gharaunday banate hue Ae khayal-e-naqoosh-e-kaf-e-pa samat, lauh-e-jazbaat ke gulistan mein utar
Har taraf sang-bari ka manzar khula, sang-dil sa'aton ka samundar khula Ae zameer-e-qalam, istiqamat dikha, tu ghubar-e-shab mein imtihaan mein utar
Aaj tu meri ungli pakar le saba, su-e-Taiba chalein, mere humrah aa Meri naatein suna, Marhaba Marhaba, khitta-e-noor-o-nikhat-o-fishaan mein utar
Main Riaz aaj bhi sar jhukaye hue, multamis hoon hawa-e-dar-e-pak se Mere aangan ke pairon mein bhi paaon rakh, meri tashna labi ke makaan mein utar





