Kuch der mein uthay gi ghata shehr-e-Nabi se Bheegha rahay daaman mera ashkon ki nami se
Saughaat Madinay ki khajooron ki mili hai Raqsaan hai meray khoon ki har boond khushi se
Tu husn-e-gulistaan meray qadmon se lipat ja Nisbat hai mujhay Syed-e-Aalam ki gali se
Main ism-e-Muhammad ki ghani chhaon mein hoon ga Tu laakh dara lay mujhay mahshar ki ghari se
Hum log Riaz apnay muqaddar kay dhani hain Taufeeq-e-sana maangtay hain Rab-e-ghani se





