Allah Allah banday har dam Allah ho Peechay peechay maut hai teray aagay aagay tu Allah baqi man kull-e-fani Na kuch tera na kuch mera o ghafil insaan
Sab kuch jaanay jaan boojh kar banay hai kyon anjaan Dara aur Sikandar jaisay shehanshah-e-aali shaan Lakhon man mitti mein so gaye baray baray Sultan Teri kya auqaat hai banday kuch bhi nahi hai tu
Allah Allah banday har dam Allah ho Tera mera jeevan jaisay chaltay phirtay saaye Joon joon barhti jaaye umariya jeevan ghat'ta jaaye Maut khari hai sar pe teray jaanay kab aa jaaye
Ek saans ka panchhi hai tu kaun tujhay samjhaaye Reh jaaye ga pinjra khaali urr jaaye ga tu
Allah Allah banday har dam Allah ho Tanha qabr mein ho ga tera koi na ho ga meet Allah hi Allah bol ae bhaiya jeevan baazi jeet Dhaltay sooraj roz sunaye tujh ko fana ke geet
Neend se aankhein khol ae bhaiya kaisi hai yeh preet Allah tera jaag raha hai aur sota hai tu Allah Allah banday har dam Allah ho Peechay peechay maut hai teray aagay aagay tu





