Meri har saans ke har varq pe Un ﷺ ka ism-e-girami likha hai Mere honton ki kisht-e-wafa mein phool ban kar mehakne laga hai
Yaad-e-Taiba ki mashal jali hai, wajd mein shaakh-e-dil par kali hai Shab ke pichle pahar jo chali hai woh Madine ki thandi hawa hai
Mere aangan ke pedon pe aksar ek dhanak si utarti rahi hai Umr bhar mausam-e-abr-e-rehmat mere ghar mein machalta raha hai
Zulmat-e-shab ki koi shikayat hashr tak ab nahi kar sake ga Shahar-e-jaan ka har ek pesh-e-manzar Un ke anwaar se bhar liya hai
Un ke jalwon ki soghaat hai yeh, Un ke qadmon ki khairaat hai yeh Wus'at-e-aasmaan mein azal se jo ujaala bikharta raha hai
Hashr ke baad bhi har hawala mo'tabar naam-e-nami se hoga Aarzoo-e-sahar ke ufuq par mere Aaqa ﷺ ka parcham khila hai
Sa'atein bhi duroodon ke gajre shaam hi se banati rahi hain Aansuon ke jharoke mein shab bhar ek charagh-e-aqeedah jala hai
Mauj-e-toofan ki sar par khari hai, shaam-e-uftaad bhi aapari hai Ret ka ek gharaunda Nabi ﷺ ji sahil-e-aarzoo par bana hai
Sha'ir-e-benawa Ya Muhammad ﷺ! muntazir hai nigah-e-karam ka Yeh Riaz aaj bhi dil-girifta, Aap ﷺ ke dar pe aaya hua hai





