Huroof-e-Naat-e-Nabi ﷺ mein sajai hain aankhein Tamam umr ki meri kamai hain aankhein
Naqoosh-e-pa-e-Muhammad ﷺ saje rahein in mein Isi liye to Khuda ne banai hain aankhein
Har ek zair-e-Taibah ke choom lein talwe Dar-e-Huzoor ﷺ pe main ne bichai hain aankhein
Har ek taaq mein aansoo sajati rehti thin Dar-e-Huzoor ﷺ se ho kar ye aayi hain aankhein
Sar-e-Husain ؑ ko neze pe dekh kar barsein Baghaur dekh meri Karbalai hain aankhein
Har ek baar Madine ki khaak hi nikli Hazaar baar agar aazmai hain aankhein
Khunak hawa-e-Madinah se dosti kar ke Ghazab ki dhoop se main ne bachai hain aankhein
Ab aasman-e-Madinah ka haal kya likhoon Adab se Taibah mein kis ne uthai hain aankhein
Kabhi jo khwab mein bhi main wahan gaya hoon Riazؔ Ghubar-e-shehr-e-Payambar ﷺ mein pai hain aankhein





