Us Arab ke wali ki kya shakal-e-noorani hai Ek main hi nahin sheyda duniya hi deewani hai
Ae baad-e-saba la de kuch khaak Madine ki Surmay ki tarah hum ne aankhon mein lagani hai
Is dard-e-bharay dil ki ek choti kahani hai Jo Shah-e-do alam ko khud ja ke sunani hai
Behta meri aankhon se har waqt jo paani hai Yeh Saqi-e-Kausar ki ek khaas nishani hai
Is naat ko ae Nasir dil se hai parha main ne Jo Rausa-e-Aqdas par khud ja ke sunani hai





