Naar-e-dozakh ko chaman kar de bahaar-e-aariz Zulmat-e-hashr ko din kar de nahaar-e-aariz
Main toh kya cheez hoon khud Sahib-e-Quraan ko shaha Laakh mushaf se pasand aayi bahaar-e-aariz
Jaise Quraan hai wird us gul-e-mehboobi ka Yun hi Quraan ka wazifa hai waqaar-e-aariz
Garcha Quraan hai na Quraan ki barabar lekin Kuch toh hai jis pe hai woh madh-nigaar-e-aariz
Toor kya arsh jale dekh ke woh jalwa-e-garm Aap aariz ho magar aayina-daar-e-aariz
Tarfa aalam hai woh Quraan idhar dekhein udhar Mushaf-e-paak ho hairan bahaar-e-aariz
Tarjuma hai yeh sifat ka woh khud aayina-e-zaat Kyun na mushaf se zyada ho waqaar-e-aariz
Jalwa farmayein rukh-e-dil ki siyahi mit jaaye Subah ho jaaye Ilahi shab-e-taar-e-aariz
Naam-e-Haq par kare mehboob dil-o-jaan qurban Haq kare arsh se ta farsh nisaar-e-aariz
Mushk-bu zulf se rukh chehra se baalon mein shua Mojaza hai halab-e-zulf-o-tataar-e-aariz
Haq ne bakhsha hai karam nazr-e-gadaayaan ho qabool Pyare ik dil hai woh karte hain nisaar-e-aariz
Aah be-mayagi-e-dil keh Raza’e mohtaaj Le kar ik jaan chala bahr-e-nisaar-e-aariz





