Lutf un ka aam ho hi jaayega Shaad har naakaam ho hi jaayega
Jaan de do wa'da-e-deedar par Naqd apna daam ho hi jaayega
Shaad hai Firdous ya'ni ek din Qismat-e-khuddam ho hi jaayega
Yaad reh jaayengi ye be-baakiyaan Nafs tu to raam ho hi jaayega
Be-nishaano ka nishaan mit-ta nahi Mit-te mit-te naam ho hi jaayega
Yaad-e-gesu zikr-e-haq hai aah kar Dil mein paida laam ho hi jaayega
Ek din aawaaz badlenge ye saaz Cheh-cheha kehram ho hi jaayega
Saailo! daaman-e-sakhi ka thaam lo Kuch na kuch inaam ho hi jaayega
Yaad-e-abru kar ke tadpo bulbul-o! Tukde tukde daam ho hi jaayega
Mufliso! un ki gali mein ja padon Baagh-e-khuld ikraam ho hi jaayega
Gar yunhi rehmat ki ta'weelein rahin Madh har ilzaam ho hi jaayega
Baada-khwari ka samaan bandhne to do Sheikh durd-aashaam ho hi jaayega
Gham to un ko bhool kar lipta hai yun Jaise apna kaam ho hi jaayega
Mit! ke gar yunhi raha qarz-e-hayaat Jaan ka neelaam ho hi jaayega
Aaqilo! un ki nazar seedhi rahe Bauron ka bhi kaam ho hi jaayega
Ab to laayi hai shafa'at afv par Badhte badhte aam ho hi jaayega
Ae Raza! har kaam ka ik waqt hai Dil ko bhi aaraam ho hi jaayega





