Kia guzre gi, kia beete gi, jal jaane ka aalam kya ho ga Anwaar-e-Haram ki rim jhum mein parwane ka aalam kya ho ga Zanjir sarhaane rakh kar Main is soch mein dooba rehta hoon Jab shahr-e-Madinah aayega deewane ka aalam kya ho ga Kis tarah gadaaye Tayyiba ko ishq-e-Tayyiba salaami dete hain Us shahr-e-Khunak ki galiyon mein mastaane ka aalam kya ho ga Seene mein muqeed rakhunga kis tarah dil-e-bitaab ko main Palakon pe machalte ashkon ko thehrane ka aalam kya ho ga Jab gumbad-e-Khizra ki thandak tan-man mein sama si jaaye gi Tab salli ala ke naghme ko dharane ka aalam kya ho ga Jab apne sulagte hontoon ko rakh doonga Main un ki chaukhat par Us waqt Khuda jaane mere paimane ka aalam kya ho ga Jab rauza-e-Atahir ki jaali main saamne apne paon ga Deedar ki khwahish ke dil mein lahrane ka aalam kya ho ga Yeh chaand sitare qadamon mein jhuk jaayenge farat-e-hairat se Un ki rukh-e roshan se parda sarkaane ka aalam kya ho ga Ik umr guzaari hai main ne bekaar zamane walon mein Darbaar-e-Nabiؐ main bin maange kuch paane ka aalam kya ho ga Woh apni shafa'at ki chadar daalen ge Riyaz-e-Muztar par Sarkarؐ ke qadmon mein gir kar mar jaane ka aalam kya ho ga





