Khamosh ba-adab sar-e-darbar Ya Rasool Hazir hai aaj ek gunahgar Ya Rasool
Is ko dar-e-janab se nisbat agar na ho Umr-e-hazar saal bhi be-kar Ya Rasool
Dekhi hain jab se Gumbad-e-Khizra ki tabishein Duniya-e-rang-o-boo se hoon bezaar Ya Rasool
Is umr-e-mukhtasar mein yeh dekhein phir ek baar Is shahr-e-bemisal ke bazaar Ya Rasool
Auqat apni jaanta hoon is ke bawajood Machli hai dil mein hasrat-e-deedar Ya Rasool
Har waqt mere dil mein munawar yahi rahein Taiba ke ird-gird ke aasar Ya Rasool
Chupta raha hujoom-e-ghulaman mein raat din Chashm-e-karam ka ek talabgar Ya Rasool
Kab se Riaz hai dar-e-aqdas par sar-nigoon Aaqa, huzoor, Ahmad-e-Mukhtar, Ya Rasool





