Harisun 'alaina, 'aziz-o-payambar, Sirajan-e-Munira, Sirajan-e-Munira Latafat se goondha gaya tera paikar, Sirajan-e-Munira, Sirajan-e-Munira
Baqa ki na umr-e-dawami ki mangi, dua jab bhi mangi ghulami ki mangi Na maange kabhi main ne la'al-o-jawahar, Sirajan-e-Munira, Sirajan-e-Munira
Tu jis ke tasawwur mein abad duniya, tu jis ki ghulami mein azad duniya Parhein La ilaha tere hathon mein patthar, Sirajan-e-Munira, Sirajan-e-Munira
Rasool-e-shafa'at, tu Yasin-o-Taha, tujhe toot kar tere Rab ne bhi chaha Tu Aqib, tu Qasim, tu sarw-e-mu'anbar, Sirajan-e-Munira
Karam hi karam tu, sakha tu hai ummat ke haq mein dua hi dua tu Tu rahmat hi rahmat, tu Kausar hi Kausar, Sirajan-e-Munira, Sirajan-e-Munira
Mujhe bhi ijazat mile Ya Muhammad, kali dil ki ab to khule Ya Muhammad Tere dar pe hazir ho tera gada-gar, Sirajan-e-Munira, Sirajan-e-Munira
Riaz aaj bhi dekh na ro raha hai, sar-e-rahguzar sham se so raha hai Judai ki raatein hain is ka muqaddar, Sirajan-e-Munira, Sirajan-e-Munira





