Chiragh-e-aarzu kab tak jalayein Ya Rasool Allah Madine mein ghulamon ko bulayein Ya Rasool Allah
Saba ke haath yeh paigham bheja hai ghulamon ne Hamare ghar mein bhi tashreef layein Ya Rasool Allah
Main khaali haath aaya tha na khaali haath jaaun ga Meri maqbool hon sab iltijaayein Ya Rasool Allah
Jawan beton ke sar par aafiyat ka saaybaan maangein Mere is ehd ki be-chain maayein Ya Rasool Allah
Bari muddat se kashti aap ki naadan ummat ki Bhanwar mein hai kinare se lagayein Ya Rasool Allah





