Nishan us ka kisi se kab bayan ho Wohi paave nishan jo be-nishan ho
Munazah woh toh hai kaun-o-makaan se Makaan us ko kahan jo la-makaan ho
Koi jagah nahin par us se khaali Zameen ho arsh ho ya aasman ho
Siwa us ke nahin koi jahan mein Talash us ki karo yaaro jahan ho
Turab ustaad se maloom kar lo Tariq-e-ma'rifat gar qadrdaan ho
Ghaneemat hai mulaqaat aaj us ki Khuda maloom phir kab ho kahan ho