Aql ka hukum hai idhar tu na jaana ae dil Ishq kehta hai ke phir waan se na aana ae dil
Aql kharij hui jis waqt hua ishq ka dakhal Aankh lagte hi huye hosh ravana ae dil
Girya mat kar nahi hone ka gham-e-yaar furo Hai kathan paani se yeh aag bujhana ae dil
Main na kehta tha ke ek roz tu ruswa hoga Is qadar us pe hua kyun tu deewana ae dil
Ta'n o tashnee' raqeebon se salamat hai mahaal Ishq baazi hai malamat ka nishana ae dil
Baaz aa maan kaha us ki taraf phir mat ja Kya nahi aur kahin tera thikana ae dil
Kyun tu Majnu sa hua ishq mein angusht numa Naam rakhta hai tera ek zamana ae dil
Dilbari kuch bhi ho jis mein hai dil aazar wahi Bar mein apne kabhi us ko na bithana ae dil
Jis ko main jaan-e-aziz apna samajhta tha Turab Ishq mein woh bhi hua mujh se begaana ae dil