We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Jis Ne Koi Yusuf Koi Yaqub BanayaVerified

Shah Turab Ali Qalandar

Jis ne koi Yusuf koi Yaqub banaya Us ne mujhe talib tujhe matloob banaya


Bakhshi hai isi ne toh mujhe teri mohabbat Pyare mere jis ne tujhe mehboob banaya


Hum ko toh nazar padti hai sab khoobi usi ki Jis ne tujhe khoobon mein bahut khoob banaya


Kehte ho judai mein karo sabr hamari Kya dil ko mere aap ne Ayyub banaya


Jis din se main chaha use sharmaane laga woh Shokhi ne mere yaar ko mehjoob banaya



No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play


Zahid ko isi cheez se duniya mein hai nafrat Allah ne jis cheez ko marghoob banaya


Soorat ko meri dekh Turab us ne kaha kal Yun ishq ne kis ke tujhe majzoob banaya

Instant Access to Thousands of Lyrics - Tap to Install!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah