Jab dil-e-Mansoor par haq chha gaya Lab pe iqrar-e-Anal Haq aa gaya
Yaaro tum kehte ho jis ko arsh par Main toh apne dil mein us ko pa gaya
Kaun dekhe us ko ghair az ahl-e-dil Aaftab andhe se kab dekha gaya
Haif sirr-e-haq na poocha ek ne Paas apne ek jahan aaya gaya
Dam ba-khud ho rahiye kuch kahiye na ab Haq jo koi bola so jhat maara gaya
Murshid-e-bar haq ke sadqe jaaiye Raah-e-haq ki jo hamein dikhla gaya
Keh de Talib se ke sab haq hai Turab Kalimatul Haq woh yehi farma gaya