Dil jis ki mohabbat mein giraftar hai mera Woh dushman-e-jaani o dil-aazar hai mera
Kehta hai khabardar chhupana meri ulfat Aashiq se yahi qaul aur iqrar hai mera
Kis tarah bhala mujh se chhupe dard-o-gham is ka Ghammaz to yeh deedah-e-khoon-baar hai mera
Kyun kar na rakhun yaar ke milne ki tamanna Dil aarzoo-e-wasl se nachaar hai mera
Kal dekh ke mujh ko woh laga kehne kisi se Pehchaniyo is ko yeh khareedar hai mera
Surat na dikhaunga use apni kisi din Keh do yeh abas tishnah-e-deedar hai mera
Kis tarah ba-ein haal use yaar main jaanoon Naadani se yeh wahm-o-pindaar hai mera
Kis tarah Turab apna kahun haal kisi se Jag mein na koi yaar na gham-khwar hai mera