Ziyarat kar chuki bedaar khwabi ya Rasoolؐ Allah Meri andar ki aankhein hain sahabi ya Rasoolؐ Allah
Rawaana khud talashi ki muhim par kijiye hum ko Hum apni chahte hain baazyabi ya Rasoolؐ Allah
Hamare hujra-e-irfan pe taala kis ne dala hai Ata ho jaaye is taale ki chaabi ya Rasoolؐ Allah
Hamari aahatein bhi apne raste par laga dije Hoon hum bhi Aapؐ jaise inqilabi ya Rasoolؐ Allah
Duroodon aur duaon ka jawab ab tak nahi aaya Lifafe saare bheje hain jawabi ya Rasoolؐ Allah
Shab-e-tanhai mein jab Aap ko aawaaz deta hoon Chudaaye khoon ragon mein mahtabi ya Rasoolؐ Allah
Koi khoobi nazar aati nahi kirdaar mein apne Yehi bas ek hai mujh mein kharabi ya Rasoolؐ Allah
Muzaffar ki ragon mein khoon toh Abu Bakr ka daure Dimaag is ka magar hai bu-e-Turabi ya Rasoolؐ Allah





