Jahan bhi ho, wahin se do sada, Sarkar sunte hain Sar-e-aaina sunte hain pas-e-deewar sunte hain
Mera har saans un ki aahaton ke sath chalta hai Mere dil ke dhadkan ki bhi woh raftar sunte hain
Khade rehte hain ahl-e-takht bhi dehleez par un ki Fakeeron ki sadayein bhi Shah-e-Abrar sunte hain
Gunahgaro durood-o-walihana bhej kar dekho Woh apne ummati ka naghma-e-kirdar sunte hain
Woh yun milte hain jaise zindagi mein koi milta hai Woh sunte hain har ik ki, aur sar-e-darbar sunte hain
Main sadqe jaaun un ki Rahmatal-lil-Alameeni ke Pukaro chahe kitni baar, woh har baar sunte hain
Muzaffar jab kisi mehfil mein un ki naat padhta hoon Mera imaan hai woh bhi mere ashaar sunte hain





