Qul huwallahu ahad Madad Allah madad
Doosra tere siwa koi bhi mabood nahi Be-niyaz itna ke had hi koi majood nahi Samad Allah Samad Qul huwallahu ahad
Na jana tujh ko kisi ne na kisi ko tu ne Saari duniyaon ko mehkaya teri khushbu ne Tu azal tu hi abad Qul huwallahu ahad
Raat ban jaye kabhi misl-e-sahar tu aaye Dekhne wala ho koi to nazar tu aaye Tujh se aajiz hai khirad Qul huwallahu ahad
Aakhirat ka koi gham us ko na tarpaye Khuda Is gunahgar Muzaffar ko bhi mil jaye Khuda Teri rahmat ki sanad Qul huwallahu ahad Madad Allah madad





