Mustafa-e-zaat-e-yakta aap hain Yak ne jis ko yak banaya aap hain
Aap jaisa koi ho sakta nahi Apni har khoobi mein tanha aap hain
Aab-o-gil mein noor ki pehli kiran Jaan-e-Adam jaan-e-Hawa aap hain
Husn-e-awwal ki namood-e-awwaleen Bazm-e-aakhir ka ujala aap hain
La-makan tak jis ki phaili roshni Woh chiragh-e-aalam aara aap hain
Hai namak jis ka khameer husn mein Woh maleeh-e-husn aara aap hain
Zeb-o-zeen-e-khaak-o-fakhr-e-khaakiyaan Zeent-e-Arsh-e-Mu'alla aap hain
Naazish-e-Arsh-o-waqar-e-Arshiyaan Sahib-e-Qausain-o-Adna aap hain
Aap ki tal'at Khuda ka aaina Jis mein chamke Haq ka jalwa aap hain
Aap ki ru'yat hai deedar-e-Khuda Jalwah-gah-e-Haq Ta'ala aap hain
Aap ko Rabb ne kiya apna Habeeb Saari khilqat ka khulasa aap hain
Aap ki khatir banaye do jahan Apni khatir jo banaya aap hain
Jaan tu'i jaanan qarar-e-jaan tu'i Jaan-e-jaan jaan-e-Maseeha aap hain
Paikar-e-har shai mein jaan ban kar nihan Pardon pardon mein huwayda aap hain
Aap se khud aap ka sa'il hoon main Jaan-e-jaan meri tamanna aap hain
Aap ki tal'at ko dekha jaan di Qabr mein pahuncha to dekha aap hain
Bar darat aamad gada bahar-e-sawaal Ho bhala Akhtar ka daata aap hain