Koi toh hai jo nizam-e-hasti chala raha hai, wohi Khuda hai Dikhayi bhi jo na de nazar bhi jo aa raha hai, wohi Khuda hai
Talash uss ko na kar buton mein, woh hai badalti hui rutton mein Jo din ko raat aur raat ko din bana raha hai, wohi Khuda hai
Nazar bhi rakhe sama'atein bhi, woh jaan leta hai niyatein bhi Jo khana-e-la-shaoor mein jagmaga raha hai, wohi Khuda hai
Kisi ko taaj-o-waqar bakhshe, kisi ko zillat ke haar bakhshe Jo sab ke mathon pe mohar-e-qudrat laga raha hai, wohi Khuda hai
Safeed us ka siyah us ka, nafas nafas hai gawah us ka Jo shola-e-jaan jala raha hai bujha raha hai, wohi Khuda hai





