Zindagi ke raaston se yun guzar un ka hua Jaan ka dushman bhi un ko dekh kar un ka hua
Un ki tashreef aavari un ki gawahi ban gayi Teergi kuffar ki noor-e-sahar un ka hua
Poori tareekh jahan ki roshni utni nahin Lamhe lamhe mein ujala jis qadar un ka hua
Un ke qadmon ne dikhaye raaste aflaak ke Hogaya Allah us ka, jo bashar un ka hua
Zindagi kya, zindagi ke baad tak waaste Un ka ho kar reh gaya jo lamha bhar un ka hua
Zindagi us ki hawaon mein diye le kar chali Jo badha un ke taraf, jo hamsafar un ka hua
Asal mein umr-e-wujood un ki thi utni hi taweel Zindagi ka daur jitna mukhtasar un ka hua
Jab Muzaffar baantna chaha mujhe taqdeer ne Aankh duniya ne jhapat li, dil magar un ka hua





