Zameen pe utre jo anwar-e-lamakan wale Udaan bhool gaye apni aasman wale
Jo chahein keh lein qayasat hain ghalat sab ke Kaman se hi nahi nikle do kaman wale
Maqam lakh hon taskeen-e-qalb-o-jaan ke liye Nazare aur hain Taiba ke gulistan wale
Makan mein aa to gaye noor-e-lamakan kab se Magar chupe nahi, andaaz lamakan wale
Woh shehr-e-ilm ho to ummiyat ke parde mein Tumhare samne goonge hain sab zaban wale
Zameen walon ko kya chal sake pata un ka Na pohanche gard ko bhi jin ki aasman wale
Madinah aakhri manzil hai haq shanaso ki Yehi theharte hain sadiyon se karwan wale





