Jamal-e-Shah-e-Umam La ilaha illallah Zi-farq ta ba-qadam La ilaha illallah
Pata kuch aur hi chalta hai man-raani se "Ana bashar" mein hain hum La ilaha illallah
Khuda ke noor se woh, unke noor se sab kuch Kahan ke loh-o-qalam La ilaha illallah
Shahood kis ko kahein aur ghaib kis ko kahein yahan toh Sab hain baham La ilaha illallah
Jale jo daaman-e-dil, shauq-e-shola-e-gham se Kaho ba-deeda-e-nam La ilaha illallah
Baghair-e-zaat zuhoor-e-sifaat na-mumkin Woh hain ba-shan-e-atam La ilaha illallah
Woh aap apne muqabil hain mehfil-e-Kun mein Kamal-e-tu-za-qidam La ilaha illallah
Har ek rukh hai mukammal mutabiq-e-fitrat Na kuch zyada na kam La ilaha illallah





