Roshan charagh-e-khatm-e-nubuwwat hai aaj bhi Har mojza ba-shakl-e-karamat hai aaj bhi
Is noor ki azal se woh rif'at hai jaan lo Qausain ek pal ki musafat hai aaj bhi
Samjha gaya Huzoor ko jitna bhi aaj tak Utna hi jaanne ki zaroorat hai aaj bhi
Mohtaj-e-kainaat hai un ke wujood ki Woh hain toh kainaat salamat hai aaj bhi
Kehte toh hain Rasool-e-Nabi ''hain'' aur jaante hain ''the'' Kis darja be-shuoori-e-ummat hai aaj bhi
Kuch bhi na tha woh jab bhi tajalli the noor ki Jo kuch bhi hai unhi ki badaulat hai aaj bhi
Un ke baghair kya hai tasawwur hayat ka Ek ek saans un ki amanat hai aaj bhi
Kis shaan se hai noor-e-Nabi kainaat mein Jitni baseerat utni hi ru'yat hai aaj bhi
Zinda rakha hua hai faqat un ki deed ne Warna yeh zindagi toh qayamat hai aaj bhi





