Khuda-e-Pak ka qausain kab thikana hai Faqat maqam-e-Nabi khalq ko dikhana hai
Hira bhi kuntu Nabiyyan ka jalwa khana hai Zuhoor-e-bood mein hai silsila purana hai
Shahood-o-ghaib hain donon tajalliyan un ki Makan mein rehte hue lamakan thikana hai
Khuda ki jalwa-gari ka ajab fasana hai Nabi ko dekh ke imaan Khuda pe lana hai
Kise hai manzil-e-qausain ki khabar ab tak Ke aage Sidra ke "raaz-e-daroon-e-khana" hai
Tumhi ho maqsad-e-takhleeq-e-kainat Aaqa Tumhara noor hi khilqat ka tana bana hai
Rumooz-e-jadda-e-ishq-e-Rasool aise hain Yahan jo ban gaya deewana woh siyana hai
Kari hai dhoop to kya hadisat-e-alam mein Saron pe Gumbad-e-Khizra ka shamiyana hai
Nabi shanas to hain har zamane mein lekin Yeh dekhna hai unhein kis ne kitna jana hai
Bashar ki fikr-o-nazar shauq kaam kya degi Jamal-e-Haq ba libas-e-Paighambarana hai





