Aankh bhar kar kise qausain-makeen dekhte hain Aankh rehti hai kahin aur kahin dekhte hain
Seerat-e-pak ka har rukh hai munawwar itna Jagmagaati hui Quran ki jabeen dekhte hain
Daira kitna hai nazron ka Khuda hi jaane Arsh aur farsh ko yaksaan Shah-e-Deen dekhte hain
Un ki azmat ko kahan farsh-nasheen samjhenge Jin ko hairat se sab aflaak-nasheen dekhte hain
Rooh karti hai tawaf-e-dar-e-aqdas jab bhi Hum to sar-ta-ba-qadam khud ko jabeen dekhte hain
Is qadar Gumbad-e-Khizra ki fiza roshan hai Dekhne wale Khuda ko bhi yahin dekhte hain
Shauq mauqoof nahi ishq-e-Nabi qurbat par Door wale bhi unhein dil ke qareen dekhte hain