Laakh orhay bashariyat ka libada koi Ghair mumkin hai ke ho aap ke jaisa koi
Seerat-e-insaan ki ban jaye saheefa koi Mojaza us se bada ho nahi sakta koi
Aaj tak kar na saki faisla dunya koi Aap hi aap hain ya hai pas-e-pardah koi
"Kullu yawmin huwa fee shaan" sarapa tum ho Tum se hat kar koi aalam na zamana koi
Shaan-e-Sarkar ﷺ hai har rukh se mukammal itni Na kami koi hai mumkin na izafa koi
Seerat-e-pak ka ab tak bhi ahata na hua Kya kare aap ke idraak ka dawa koi





