We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Jaan o Dil Kya Sheh

Khawaja Shouq

Jaan-o-dil kya shay hain maqsood-e-dil-o-jaan aap hain Deen ka deen aap hain eeman ka eeman aap hain


"Kuntu kanzan makhfiyan" dar shakl-e-insaan aap hain Ya Nabi noor-un-ala-noor apna irfaan aap hain


Aap lafzon mein kahan ya Rahmat-ul-lil-Aalameen Jis ko khud Quran parhta hai woh Quran aap hain


Aap ka idraak mumkin hi kahan makhlooq se Hadd-e-imkaan mein hain sab bartar-z-makaan aap hain



More Lyrics, Less Storage - Install the App and Ditch the Screenshots!

Get it on Google Play


Manzil-e-Qausain ho ya Li-ma'Allah ka maqam Koi bhi us ja nahin jis ja kharaman aap hain


Do jahan mein aap ke jalwon se hat kar kuch nahin Awwal-o-aakhir aap hain pehlaan numayan aap hain


Ek Subhan-alladhi asra pe kya mauqoof hai Farsh par rehte hue bhi arsh samaan aap hain


Aap hi jaanein haqeeqat kya hai Ma-li aap ki Faqr-e-Fakhri mein Ana min noor samaan aap hain

No Internet? No Problem! Get the App for Offline Lyrics!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah