Jab bhi aata hai khayal-e-Shah-e-Taiba dil mein Arsh se lagta hai ek noor utarta dil mein
Is nazakat se dil-o-jaan mein hain jalwe un ke Saaf khulta nahin woh rooh mein hain ya dil mein
Roshan dil ki faqat jalwa-e-min-noor se hai Chaand, sooraj se ujala nahin hota dil mein
Qibla-e-deen bhi wahi Kaaba-e-imaan bhi wahi Ghar hai Allah ka jab rehte hain Aaqa dil mein
Is qadr Aap mein kho jaaun ke main, main na rahoon Sau tamannaon ki hai ek tamanna dil mein
Tootta kab hai Madine se talluq dil ka Aate rehte hain khayalat hamesha dil mein
Jin ke kirdar se mehka hua Quran hai Shauq Un ki azmat ka sikka chala karta hai dil mein





