Jalwa-numa hai noor-e-Khuda kis hunar ke saath Kaunain chal rahe hain mizaj-e-nazar ke saath
Hairat nahin jo khalq hai wabasta dar ke saath Khallaq-e-kainaat hai Khair-ul-Bashar ke saath
Wabasta sab hain Sahib-e-Shaqq-ul-Qamar ke saath Daman ke saath kuch hain toh kuch sang-e-dar ke saath
Aata hai jab khayal-e-Nabi chashm-e-tar ke saath Hum khud bhi kho gaye jaate hain apni nazar ke saath
Mumkin nahin ke dil toh ho noor-e-Nabi na ho Maalik bhi ghar ka rehta hai ghar ke saath
Ain-e-Khuda na ain-e-bashar hai woh noor-e-kul Pairahan-e-bashar se hai nisbat bashar ke saath
Imaan wali aankh mein Aaqa kuch aur hain Dekha toh kafiron ne bhi hai chashm-e-sar ke saath
Qausain ka maqam toh noor-e-azal ka hai Jibreel kaise jaate wahan baal-o-par ke saath
Aaqa jo khush-naseeb hain qadmon ke saath hain Rehne do shauq ko bhi pada sang-e-dar ke saath





