Allah ne tumhein jitne naamon se pukara hai Har naam hai ik jalwa har jalwa adara hai
Tayyaba mein jidhar dekho rehmat ka nazara hai Sau taur tajalli hain bijli na sharara hai
Seerat ka har ik pehlu, ae'jaz-e-dil-ara hai Talwar nahin maari, kirdar se maara hai
Kis dhang se Allah ne tum ko sanwara hai Khilqat bhi tumhari hai khaliq bhi tumhara hai
Mazaagh nigahien toh mazaagh nigahien hain Qadmon ke nazare ka kis aankh ko yaara hai
Kitnon ke dimaghon mein thi arsh ki unchai Me'raj ne kis kis ka paara na utara hai
Quran ko na samjhe toh kya samjhenge seerat ko Quran ka har paara seerat ka shumara hai





