Zamana ne zamana mein sakhi aisa kahin dekha Labon par jis ke sail ne nahin aate nahin dekha
Musibat mein jo kaam aaye gunahgaron ko bakhshaye Woh ik Fakhr-e-Rusul mehboob-e-Rabb-ul-Aalameen dekha
Banaya jis ne bigron ko sambhala jis ne girton ko Woh hi hallal-e-mushkil Rahmat-ul-lil-Aalameen dekha
Woh haadi jis ne dunya ko Khuda wala bana dala Dilon ko jis ne chamkaya Arab ka mah-jabeen dekha
Base jo farsh par aur arsh tak us ki hukumat ho Woh Sultan-e-Jahan Taiba ka ik naqa-nasheen dekha
Woh aaqa jo ki khud khaye khajoorein aur ghulamon ko Khilaye ne'matein dunya ki kab aisa kahin dekha
Bhala aalam si shai makhfi rahe us chashm-e-haq-been se Ke jis ne Khaliq-e-Aalam ko be-shak bil-yaqeen dekha
Musalmani ka dawa aur phir tauheen-e-Sarwar ki Zamana ne zamana bhar mein kab aisa la'een dekha
Ho lab par ummati jis ke kahin jab Ambiya nafsi Do-aalam ne use Salik shafi-ul-muznebeen dekha





