Ae saba tera guzar ho jo Madinah mein kabhi Jaana us gumbad-e-khizra mein ke hain jis mein Nabi
Haath se apne pakad kar woh sunheri jaali Arz karna meri jaanib se basad shauq-e-dili
Hai tamanna yeh Khuda se ke Rasool-e-Arabi Apni aankhon ko maloon aap ki chaukhat se Nabi
Umr saari toh kati lahw-o-la'ab mein Aaqa Zindagi ka koi lamha nahi achha guzra
Saare a'amaal siya jurm se daftar hai bhara Aarzoo hai ke gunahon ka ho yun kaffara
Hai tamanna yeh Khuda se ke Rasool-e-Arabi Apni aankhon ko maloon aap ki chaukhat se Nabi
Arz karna ke kahan mujh sa kameena ganda Aur woh shehar kahan jis mein hon Mehboob-e-Khuda
Haan suna hai ke nibhate hain buron ko Maula Is liye aap ke darwaze pe deta hai sada
Hai tamanna yeh Khuda se ke Rasool-e-Arabi Apni aankhon ko maloon aap ki chaukhat se Nabi
Aarzoo dil ki hai jab band ho harkat-e-dil ki Aankh pathraye mujhe aaye akhiri hichki
Rooh jaane lage jab chhod ke jism-e-khaki Jism Taiba mein ho aur jaan chale suye Nabi
Hai tamanna yeh Khuda se ke Rasool-e-Arabi Apni aankhon ko maloon aap ki chaukhat se Nabi
Ya Nabi is ke siwa aur main kya arz karoon Aap ka ho ke jiyoon aap ka ho kar hi maroon
Aap ke dar se pala aap ke dar par hi mitoon Jaan tum se mili tum par hi nichawar kardoon
Hai tamanna yeh Khuda se ke Rasool-e-Arabi Apni aankhon ko maloon aap ki chaukhat se Nabi
Gar muyassar nahi Salik ko huzoor-e-badani Rooh haazir hai magar misl-e-Uwais-e-Qarni
Jism Hindi hai mera jaan hai meri Madani Ya Khuda door kisi tarah ho bu'd-e-badani
Hai tamanna yeh Khuda se ke Rasool-e-Arabi Apni aankhon ko maloon aap ki chaukhat se Nabi





