Sadqa tum par hoon dil-o-jaan Aaminah Tum ne bakhsha hum ko imaan Aaminah
Jo mila jis ko mila tum se mila Deen-o-imaan, ilm-o-irfaan Aaminah
Kul jahan ki maayen hon tum par fida Tum Muhammad ﷺ ki banin maan Aaminah
Ibn-e-Maryam waqai Rab ke rasool Par Muhammad ﷺ ki badi shaan Aaminah
Jis shikam mein Mustafa ﷺ hon jaagezeen Arsh-e-azam se hai zeeshaan Aaminah
Tum se imaan-o-amanat aur aman Tum se faizan tum se irfaan Aaminah
Aaminah ke teen ma'ni bil-yaqeen Ba-amanat aman-o-imaan Aaminah
Tum se Allah-o-Muhammad ﷺ hain ayan Noor, huda hai tum mein pinhaan Aaminah
Hum hain momin aur tum imaan bakhsh Chashma-e-deen tum se rawan Aaminah
Teri turbat ka mujaawar main banoon Phir nikaloon dil ke armaan Aaminah
Mahbat-e-Quran Nabi ﷺ hain aur tum Ho Nabi ﷺ ki mohtaram maan Aaminah
Hai yeh Saalik aap ke dar ka faqeer Maangta hai aman-o-imaan Aaminah





