Bayaan kis munh se ho us majma-ul-bahrain ka rutba Jo markaz hai shariyat ka tariqat ka hai sar-chashma
Bana us waste Allah ka ghar jaaye paidaish Ke woh Islam ka Kaaba hai yeh imaan ka Kaaba
Woh hai khamosh Quran aur yeh Quran-e-natiq hain Nahi jis dil mein yeh us mein nahi Quran ka rasta
Dulhan Zehra, Umar daamad aur Hasnain se bete Teri hasti hai aala aur baala-tar tera kunba
Nabi ki neend par us ne namaz-e-asr qurbaan ki Jo hazir kar chuka tha us se pehle jaan ka hadya
Na kyun-kar laut-ta us ke liye dooba hua suraj Ke jab is chand ke pehlu mein ik suraj ka tha jalwa
Ta'ala Allah teri shaukat teri saulat ka kya kehna Ke khutba parh raha hai aaj tak Khaibar ka har zarra
Musalmano Rasool-Allah ki ulfat agar chaho Karo us ki ghulami jis ka har momin hua banda
Ho Chishti, Qadri ya Naqshbandi, Suharwardi ho Mila sab ko vilayat ka inhi ke hath se tukra
Hai sadqa mel phir is paak-o-suthre ko rawa kyun ho Ke duniya kha rahi hai jis ki aal-e-paak ka sadqa
Ali Mushkil-kusha hain sab ke, Saalik ka sahara hain Har ik mohtaj un ka ho jawan boorha ho ya bacha





