Naseeb chamke hain farshiyon ke keh arsh ke chand aa rahe hain Jhalak se jin ki falak hai roshan woh shams tashreef laarhe hain
Nisar teri chahal pehal par hazaaron Eidain Rabi al-awwal Siwae Iblis ke jahaan mein sabhi to khushiyan mana rahe hain
Shab-e-Wiladat mein sab Muslimaan na kyun karein jaan o maal qurbaan Abu Lahab jaise sakht kaafir khushi mein jab faiz pa rahe hain
Zamaane bhar ka yeh qaida hai ke jis ka khana usi ka gana To ne'maten jin ki kharahe hain unhein keh hum geet gaa rahe hain
Habib haq hain Khuda ki ni'mat bi ni'mat rabbak fa haddath Khuda ke farman par amal hai jo bazm-e mawlid saja rahe hain
Main tere sadqay zamin-e Tayyiba fidaanah kyon tujh par ho zamaana Ke jin ki khatir bana ye alam woh tujh mein aaraam paa rahe hain
Phansa hai Bahr al Alam mein beraa pay Khuda na Khuda sahara Akele saalak hua muqabil humum dunya sata rahe hain





