Khaliq-e-kul aye Rabb-e-Ula Shukr tera kyun kar ho ada
Hum ko woh mehboob diya Rutba jis ka sab se siwa
La ilaha illallah La ilaha illallah La ilaha illallah aamanna bi-Rasoolillah
Kyun khamosh ho ahl-e-safa Hai yeh waqt-e-musarrat ka
Ya’ni aaj huye paida Shah-e-huda mehboob-e-Khuda
La ilaha illallah La ilaha illallah La ilaha illallah aamanna bi-Rasoolillah
Qasim-e-ni’mat aa pohanche Maalik-e-jannat aa pohanche
Wali-e-ummat aa pohanche Rabb ki rehmat aa pohanche
La ilaha illallah La ilaha illallah La ilaha illallah aamanna bi-Rasoolillah
Jin ki Khalil dua mangein Jin ki Maseeh basharat dein
Jin ki gawahi patthar dein Jin se sab dukh dard kahein
La ilaha illallah La ilaha illallah La ilaha illallah aamanna bi-Rasoolillah
Aaj to rashk-e-khuld bana Hujra-e-Aamina Bibi ka
Ka’ba bhi sajde ko jhuka Haami-e-Ka’ba aa pohancha
La ilaha illallah La ilaha illallah La ilaha illallah aamanna bi-Rasoolillah
Aamina Bi ko mubarak ho Aur Haleema daai ko
Hum ko mubarak aur tum ko Shah ki saari ummat ko
La ilaha illallah La ilaha illallah La ilaha illallah aamanna bi-Rasoolillah
Munkar aur Nakeer jab aaein Man rabbuka ka charcha laaein
Chehra-e-anwar jab dikhlaein Hum is tarah un ko sunaein
La ilaha illallah La ilaha illallah La ilaha illallah aamanna bi-Rasoolillah
Salik-e-khasta ki aaqa Poori ho har ek dua
Jo is mehfil mein aaya Ho us par bhi fazl tera