Fatima-tuz-Zahra ka jis din aqd tha Sun lo un ke saath kya kya naqd tha
Ek chadar sattara (17) paiwand ki Mustafa ne apni dukhtar ko jo di
Ek toshak jis ka chamray ka ghilaf Ek takiya ek aisa hi lihaf
Jis ke andar oon na resham na rooyi Balkay is mein chhaal khurmay ki bhari
Ek chakki peesnay ke wastay Ek mashkeza tha pani ke liye
Ek lakri ka pyala saath mein Nuqrai kangan ki jori haath mein
Aur galay mein haar hathi daant ka Ek jora bhi kharaun ka diya
Shahzadi Sayyed-ul-Konain ki Be sawari hi Ali ke ghar gayi
Wastay jin ke banay dono jahan Un ke ghar thin seedhi saadi shadiyan
Is jahez-e-paak par lakhon salam Sahib-e-Lolaak par lakhon salam





