Kahan ho Ya Rasool Allah kahan ho Meri aankhon se kyun aise nahan ho
Gada ban kar main dhoondoon tum ko dar dar Mere aaqa mujhe chora hai kis par
Agar main khwab mein deedar paaun Lipat qadmon se bas qurban jaaun
Tamanna hai tumhare dekhne ki Nahin hai is se barh kar koi neki
Baso dil mein sama jaao nazar mein Zara aa jaao is veerana ghar mein
Banao mere seena ko Madinah Nikalo bahr-e-gham se yeh safeena
Chura lo ghair se apna banao Hain sab achhon ke bad ko tum nibhao
Meri bigri hui halat bana do Meri soyi hui qismat jaga do
Tumhare saikron hum se gada hain Hamare aap hi ik aasra hain
Khilaye na'matein mujh be-hunar ko Diya aaram mujh gande bashar ko
Nahin hai sath mere koi tosha Kathan manzil tumhara hai bharosa
Khulein jab roz-e-mahshar mere daftar Rahe parda mera Mehboob-e-Dawar
Main be-zar, be-hunar, be-par hoon Salik Magar un ka hoon woh hain mere maalik





