Khak-e-Madinah hoti main khaksar hota Hoti rah-e-Madinah mera ghubar hota
Aaqa agar karam se Taibah mujhe bulate Rauza pe sadqa hota un par nisar hota
Woh bekason ke aaqa be-kas ko gar bulate Kyun sab ki thhokron par par kar woh khwar hota
Taibah mein gar mayassar do gaz zameen hoti Un ke qareeb basta dil ko qarar hota
Mar mit ke khoob lagti mitti meri thhikane Gar un ki rah-guzar par mera mazar hota
Yeh aarzu hai dil ki hota woh sabz gumbad Aur main ghubar ban kar us par nisar hota
Be-chain dil ko ab tak samjha bujha ke rakha Magar ab to us se aaqa nahin intezar hota
Salik hue hum un ke woh bhi hue hamare Dil-e-muztarib ko lekin nahin aitbar hota





